GEETA SAAR DURING RECESSION

GEETA SAAR DURING RECESSION

Hey Parth (Employee),

Incentive nahi mila, bura Hua
Salary cut rahi hai, bura Hua
Extra shift hogi, woh bhi buri hogi.

Tum pichhla incentive na milne ka paschatap na karo,
Tum agley incentive ki chinta na karo,
Bus apni salary main santusht raho….

Tumhari pocket se kya gaya, jo rote ho?
Jo aaya tha sab yaheen se aaya.
Tum jab nahi the, tab bhi company chal rahi thee
Tum Tum jab nahi hoge, tab bhi chalegee.

koi experience leker nahi aaye the..
Jo experience mila yahin mila…
Jo support diya company ke liye…
Degree leker aaye thhe, experience lekar chalo.

Jo system aaj tumhara hai…
Woh kal kisi aur ka tha….
Kal kisi aur ka or parson kisi aur ka hoga..
Tum isey apna samajh kar kyon magan ho rahe ho..
Yahi khushi tumhari tension kaa kaaran hai.

“Kyo vyarth chinta karte ho, kisse vyarth darte ho,
Kaun tumhein nikaal sakta hai……”
Policy change company ka rule hai.
Jise tum policy change kahte ho, wahi tau trick hai.
“Ek pal main tum Best Performer or Hero no.1 ya Super
Star ban jaate ho,
Dusre pal main tum worst performer or target nahin
achieve kar paatey ho.”

Appraisal, incentive etc. etc.

mann se hata do, vichaar se mita do,

Phir company tumhari hai or tum company ke.
Na yeh increment wageyrah tumhare liye hai
Na tum iske kabhi ho,

Parantu job secure hai
Phir tum tension kyon lete ho……..?

Tum apne aap ko company ko arpit kar do,
Yahi sabse bada golden rule hai,
Jo is golden rule ko jaanta hai,
Woh review, incentive, recession, retirement aadi se Sada ke liye muqt ho jaata hai….

HURRY (H)OM(e).

COMPILED BY J S BROCA / 17TH MARCH 2014

REVIEWED 9TH JAN 2018 / 19TH SEPTEMBER 2020

This entry was posted in Current Affairs, Humour, Social Commentry. Bookmark the permalink.

Leave a Reply